Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Teri Yaadon se door jaya na gaya,
Ek naya pyar sa rishta banya na gaya,
Mujhe Maut vi de gayi dagaa yaroo........
Dard-e-dil vi ajj chupaya na gaya,
Eh khuda khush rakhna mere yaar ko .....
Jis se mera saath nibhaya na gaya
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta
Har Baat Bojh Lagti Hai Tujhe Bataane Se Pahle,
Maut Bhi Zindagi Lagti Hai Tere Aane Se Pahle,
Muskuraane Ki Tamanna Ho To Registaan Ko Chun.na Kyonki,
Gulshan Bhi Khil Jaayega Tere Muskuraane Se Pahle.
Aahat si aaye to laga tum hu .........
Hawa si lehrayi to laga tum ho.....
Ab tum hi batao ................
kya tum kisi bhoot se kum ho............