From me to chakpak: my favourit song.
Tum jo na aate to accha tha
Aa ke na jaate to accha tha
Tum jaate jaate jaana, humko deewana kargaye
Dil na lagaate to accha tha
Na tarpaate to accha tha
Ab dil ko kya samjana, humko deewana kargaye
Kabhi has lete hain, kabhi ro lete hain
Haal kya kar diya
Apne ehsaason ko khud saza dete hain
Haal kya kar diya
Hum the tanha acche bhale
mit gaye kyon voh faasele
Nazrein churaate to accha tha
Na muskuraate to accha tha
Tum haste haste jaana, humko deewana kargaye
pyaas kya hoti hai
Darde kya hota hai
kuch nahi tha pata
Dharkanein badhti hain
Chain kyon khota hai
kuch nahi tha pata
Ab nahi hai apni khabar
Ek nasha hai shaam-o- seher
kuch na bataate to accha tha
Raaz chupaate to accha tha
Tum milte milte jaana, humko deewana kargaye